Zindagi se darte ho
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Aadmi se darte ho
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hai
Tum abhi se darte ho
Aadmi zubaan bhi hai
Aadmi bayaan bhi hai
Harf aur maani ke
Rishta haaye ahaan se
Aadmi haa waabasta
Aadmi ke daaman se haan
Aadmi ke daaman se
Zindagi hai wabasta
Usse tum nahi darte ho
Ankahi se darte ho
Jo abhi nahi aayi
Us ghadi ke aamad ki
Aagahi se darte ho
Tum abhi se darte ho
Pehle bhi to guzre hai
Daur na rasaai ke
Be reya khudai ke
Phir bhi yeh samajhte ho
Hech aarzoo mandi
Yeh shab-e-zubaan bandi
Hai rah-e-khuda wandi
Tum yahi samajhte ho
Tum yeh magar kya jaano
Lab agar nahi hilte
Haath jaag uthte hain
hath bol uthte hain
Subh ki azaan bann kar
Roshni se darte ho
Roshni to tum bhi ho
Roshni to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho
Raah-e-shauk mein jaise
Raah-ru ka jaise khoon lapke
Ek naya junoon lapke
Aadmi chhalak uthhe
Aadmi hanse dekho
Shehar phir base dekho
Tum abhi se darte ho
Tum abhi se darte ho…
– OST of Peepli live- Sung and composed by Indian Ocean