Kabhi to kuch aisa hi hua tha
neend mein thi jab tumne chua tha
girte girte baahon mein bachhi main
sapne par paon pad gaya tha
sapno mein behne do
pyaasi hoon mein pyaasi rehne do na
tumne to akash bichaya
mere nange pairon mein zameen hai
kaante bhi tumhari arzoo hai
shayad aise zindagi haseen hai
arzoo mein behne do
pyaasi hoon mein pyaasi rehne do na
halke halke kohre ke dhuyein mein
shayad asmaan tak aa gayi hoon
teri sooni baahon ke sahare
dekho to kaha tak aa gayi hoon
kohre mein behne do
pyaasi hon mein pyaasi rehne do
katra katra milti hai
katra katra jeene do
zindagi hai behne do
pyaasi hoon main
pyaasi rehne do
Awesome lines,very touching and yet soothing for the troubled heart…
Yeh lines kuchh ajab si kahaani keh gayi hain,
Pyaasi rehne do,pyaasi hun main..
amazing Gulzar saab,… to say awesome is cliche as its hard to express greatness in words…