Aap ko bhool jaye hum…
Monday, January 28th, 2008Aapko bhool jaye hum itne to bewafa nahi
aapse kya gila kare aap se kuch gila nahi
sheesha yeh dil ko todna unka to ek khel hai
humse hi bhool ho gayi unki koi khata nahi
kaash woh apne ghum mujhe dete to kuch sukoon mile
woh kitna badnaseeb hai ghum bhi jisse mila nahi
jurm hai agar wafa to kya kyon main wafa ko chod doon
kehte hai is gunah ki hoti koi saza nahi
aapse kya gila kare aap se kuch gila nahi
aapko bhool jaye hum itne to bewafa nahi…