Archive for the 'Hindi Poetry' Category

Akhir kyon?

Thursday, September 27th, 2007

Beetey lamhe kyon har pal yaad aate hai
yaad aa aa kar phir humein kyon is tarah sataate hai
kyon ek insaan ek aisi chaap chod jaata hai
jo chah kar bhi yeh dil mita nahi paata hai
kyon yeh aansu thamne ka naam nahi lete
us ajnabi ki raah ko takte hai rehte
kyon yeh dil bas ek zid kare baitha hai
us sangdil ke pyar ki aas lagaye baitha hai
kyon yeh mausam itna haseen ho chala hai
pal pal saath bitaye lamho ka saaz ched chala hai
kyon is dard se har pal meri jaan chali jaati hai
har dhadkan ek hi fariyaad kare jaati hai
kyon pyar mein dard ka saath zaroor milta hai
ankhein band to jannat, khulne par khaakh hi milta hai
kyon zameer kisi ka awaaz nahi deta
kisi ke matam pe khushiya hai saja deta
kyon tanhaiyan is mod pe raas nahi aati
ujaale ke lauv se andheron mein hai le aati
kyon is dil ke tootne par koi awaaz nahi hai
ya zamana shayad aaj behra ho chala hai
kyon is dil ki dastak aaj ansuni ho gayi
woh chalta chala gaya, aur main yahi reh gayi

Waqt

Sunday, June 10th, 2007

Waqt ki hai baisaat bichhi
waqt ki hai shart nayi
waqt ki hai kami kahin
waqt ki hai zaroorat yahin

waqt ne kuch manzar hai dikhaye
waqt ne hai kuch kisse naye sunaye
waqt ne kuch aansoo hai rulaye
waqt ne paath bhi hai kuch padhaye

waqt ka saath choota hai kabhi
waqt ka thehraav toota hai kabhi
waqt ka sitam haseen hai kabhi
waqt ka saaya jurm bhi hai kabhi

(more…)

Yeh zindagi hai meri

Sunday, April 22nd, 2007

Tamasha ban kar reh gayi hai
reh-guzar yeh meri
na jaane kis talaash mein
yeh zindagi hai meri

sajji thi mehfil kal yaaron ki
khushiyon ki lai thi saugat
aaj na koi dost na parchai hai
soone palon se bhari
yeh zindagi hai meri

sannate ki aahat pe
dil kuch ghabraaya tha
jab din thak kar chupke se
dhalne ko aaya tha
roshan kai chirag par
yaadon ke andheron mein simat-ti
yeh zindagi hai meri

(more…)

Kuch alag sa hai

Sunday, April 15th, 2007

Yeh hawa ka rukh, yeh thehra sama
Bheed mein gumsum, main kahi tanha
Aaj yeh din kuch alag sa hai

Meelon ke faasle, dilon ki yeh dhadkan
Pyar mein tere mera yeh ladakpan
Aaj yeh rishta kuch alag sa hai

(more…)

Us paar na jaane kya hoga…

Tuesday, April 3rd, 2007

Is Paar Priye Tum Ho, madhu Hai,
Us Paar Na Jane Kya Hoga,
Ye Chand Udit hoker Nabh Main,
Kuch Taap Mitata Jeevan Ka,
Lehra Lehra kar Shakhaye,
Shok Bhula Deti Maan Ka,
Us paar Mujhe Behalane ka
Upchar Na Jane Kya Hoga,
Is Paar Priye Tum Ho, madhu Hai,
Us Paar Na Jane Kya Hoga…

This is a couplet from one of the finest poems written by Dr. Harivansh Rai Bachchan, depicting the uncertainty of life after death (How ironic!!).

Aaj ki subah…

Monday, January 1st, 2007

Aaj ki subah kuch nai si hai,
Chalte, bus chalte rehne ki chaah si hai,
Sochne ki ek aah si hai,
Aaj ki subah ek baat si hai.

Shaayad kal ki us baat ka shesh hai,
Jo aaj bhi ek khaamoshi laai hai,
Kuch ankahi baatein bhi huin,
Shaayad ab bhi unme aakrosh si hai.

Kehne waale kehte chale gaye,
Sunne waale samajhte chale gaye,
Aage ki raah bhi kuch anjaan si hai,
Aaj ki subah kuch imtihaan si hai.

(more…)

Dil ka fasana

Friday, December 15th, 2006

Ankhen jhuka, phir bhool ja
jaise ki kuch bhi na hua
kal main rahoon, ya na rahoon
tu rahe sada muskurata hua

Ankhon mein teri, sapne hai mere
apna bhi ek fasana bana
Pal mein woh hasna, pal mein manana
Khushiyon se mera daaman bhara

(more…)

Khush raho…

Monday, October 23rd, 2006

Zindagi hai choti, har pal mein khush raho…

Office me khush raho, ghar mein khush raho…

Aaj chicken nahi hai, dal mein hi khush raho…

Aaj gym jane ka samay nahi, do kadam chal ke hi khush raho…

Aaj Doston ka sath nahi, TV dekh ke hi khush raho…

Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush raho…

Chaha tha kya, par jo ho gaya , usmein hi khush raho…

Aaj koi naraaz hai, uske is andaz mein bhi khush raho…

Jisse dekh nahi sakte uski awaz mein hi khush raho…

Jisse paa nahi sakte uski yaad mein hi khush raho…

Beeta hua kal ja chuka hai, usmein meethi yaadein hai, unme hi khush raho…

Aane wale pal ka pata nahi… sapno mein hi khush raho…

Haste haste ye pal bitaenge, aaj mein hi khush raho…

Zindagi hai choti, har pal main khush raho…

Kya tumhe woh yaad nahi?

Tuesday, September 12th, 2006

Humari pehli mulakaat ka woh manzar
Bahar tumhe intezaar karta paana
mann ki har jhijak ko bhula
us pal mein doob jaana
Woh tumhara baat baat pe sharmaana
ankhon ke ek kone se mujhe dekh kar
meri bevakoofi par mand mand muskaana
mera woh zid karna
aur tumhara mere nakhro ko na samajh paana
Ek sutte ki mujhse ijazat mang
apni ada se mujhe ghayal kar jaana
Kya tumhe woh yaad nahi?

(more…)

Mujhe aap kis liye mil gaye…

Tuesday, August 29th, 2006

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha
mujhe aap kisliye mil gaye
main akeli yun hi maze mein thi
mujhe aap kis liye mil gaye

Tanhaiyon mein mehek to thi,
Reh reh ke, ek ummeed ki,
udti hui, ek khwaab ki,
ambar ko chuu jaane ki
udne main chali thi is asmaan mein
mujhe aap kis liye mil gaye

Yun hi apne-apne safar mein gum
kahi door main, kahi door tum
chale jaa rahe the judaa-judaa
mujhe aap kis liye mil gaye

(more…)