Teri yaadein: A love story
Saturday, September 29th, 2007Teri yaadein, mulakaatein,
woh raatein aur baatein
teri sansein, woh baahein
ab mujhko yaad aaye
tere bina mera jiya sataaye kyon piya
yaadon ne teri mujhpe yeh jaado kiya re
teri sansein, woh baahein
ab mujhko yaad aaye
woh adaon ki ghatayein
mere dil ko choo jaye
pyare yeh duniya saari mene
hai tujhpe waari
dil ne, mere dil ne
tujhse yaari ki, baazi haari
tere khayaalo mein bas tum
meri nigaahon mein bas tum
wapas aa jao
mere paas tum sada
wapas aa jao
soona mera jahan
bhoola main hoon kaha jaata
hai jaan-e-jaan tera rahoon piya
wapas aa jao
mere paas tum sada
wapas aa jao
piya tera jiya
tu hai kahan
tera karoon intezaar
tu mere dil ka karaar
itna hai aitbaar
manoonga na main bhi haar